Lyrics of Sanjay Gandhi Kaa Ye Sapna - संजय गाँधी का ये सपना
rasm rivaj ki zanjiro ko
hum sab milkar todenge
hum sab milkar todenge
rasm rivaj ki zanjiro ko
rasm rivaj ki zanjiro ko
hum sab milkar todenge
sanjay gandhi ka ye sapna
pura karke chhodenge
amar rahe sanjay, amar rahe sanjay
amar rahe sanjay, amar rahe sanjay
beti paida hone par na
ghar me matam chhayega
beti aur bete ko ab to
samjha barabar jayega
ab samjha barabar jayega
hum nafrat ko khatam karenge
hum nafrat ko khatam karenge
pyar ka rishta jodenge
zanjiro ko todenge
sanjay gandhi ka ye sapna
pura karke chhodenge
amar rahe sanjay, amar rahe sanjay
amar rahe sanjay, amar rahe sanjay
kisi garib ki beti ko
na ab koi thokar maarega
aakhir jeet humari hai
bedard zamana harega
bedard zamana harega
ye aandhi na chalne denge
ye aandhi na chalne denge
tufa ka rukh modenge
zanjiro ko todenge
sanjay gandhi ka ye sapna
pura karke chhodenge
amar rahe sanjay, amar rahe sanjay
amar rahe sanjay, amar rahe sanjay
uska sapna, apni manjil
uska sapna, apni manjil
is manjil ko pana hai
is manjil ko pana hai
dahej ka naam-o-nisha duniya se
milkar hume mitana hai
dahej ka naam mitana hai
aadamkhor samaj ko ab to
aadamkhor samaj ko ab to
hum na jinda chhodenge
zanjiro ko todenge
sanjay gandhi ka ye sapna
pura karke chhodenge
amar rahe sanjay, amar rahe sanjay
amar rahe sanjay, amar rahe sanjay
uska sapna, apni manjil
uska sapna, apni manjil