The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Sambhal Ke Aana
0
C Ramchandra, Asha Bhosle Chitalkar Ramchandra
Sher Dil (1965) Hasrat Jaipuri
Lyrics of Sambhal Ke Aana - संम्भल के आना

ho jamana hampe marta hai jo surat ho to aisi ho
hamesha aahen bharta hai mohabbat ho to aisi ho
sambhal ke aana muqabil me husn waalon ke
sambhal ke aana muqabil me husn waalon ke
sambhal ke aana muqabil me husn waalon ke
muqabil me husn waalon ki
ki hosh udate hai duniya me ishq waalo ke
ki hosh udate hai duniya me ishq waalo ke
ho ho ho ho
hamari aankh to teeron ka ik khajana hai
aa aa aa aa
kahi bhi dekhe tumhara dil nishana hai
ho ho ho ho
hamari chaal me chhamchham hai aur tarana hai
hujur hushn ke thokar me ye jamana hai
ye jamana hai, ye jamana hai
are khuda bhi sahta hai andaaz husn waalon ki
ki hosh udate hai duniya me ishq waalo ke
sambhal ke aana muqabil me husn waalon ke

sambhal ke aana muqabil me ishq waalon ke
sambhal ke aana muqabil me ishq waalon ke
sambhal ke aana sambhal ke aana
muqabil me ishq waalon ke
hamare saamane jalten hai dil ujaalon ke
are ham apne chehare pe ulfat ka nuur rakhten hain
ho sharab ishq se hansi ko chur rakhten hai
ho magar tumhari tarah kab gurur rakhten hai
ho jo bewafa ho unhe dur dur rakhten hai
are unhe dur rakhten hai dur rakhten hai
rahenge kisse jamane me ham niraalon ke
hamare saamane jalten hai dil ujaalon ke
sambhal ke aana muqabil me ishq waalon ke

aa ham apni julfo me resham ke jaal rakhte hai
aa jo inqlaab jaga de o chaal rakhten hai
ho dilo ko jeet le aise kamaal rakhten hai
ho shabaab rakhten hai aur bemishaal rakhten hai
bemishaal rakhten hai, bemishaal rakhten hai
ho rahenge naam jamane me husn waalo ke
rahenge naam jamane me husn waalo ke
rahenge naam jamane me husn waalo ke
ki hosh udate hai duniya me ishq waalon ke
sambhal ke aana muqabil me husn waalon ke

na hote hai ham to kise dekhkar yun sharmaate
na hote hai ham to kise dekhkar yun sharmaate
are bina hum har ik chij me kami paate
are bina hum har ik chij me kami paate
hamaare dam pe ye raunak hai warna ghabrate
hamaare dam pe ye raunak hai warna ghabrate
o na hota ishq to are fir kisse ishq farmate
ho ki tum to sada ho ham jaise bartmaano ke
ki tum to sada ho ham jaise bartmaano ke
ki tum to sada ki tum to sada ho ham jaise bartmaano ke
hamare saamane jalten hai dil ujaalon ke
sambhal ke aana muqabil me ishq waalon ke