Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Sajan Ki Galiyan Chhod Chale
|
Lata Mangeshkar | Shyam Sundar | ||||
Bazaar (1949) | Qamar Jalalabadi | ||||||
saajan ki galiya chhod chale
dil roya aasu beh na sake
ye jeena bhi koi jeena hai
hum unko apna keh na sake
saajan ki galiya
jab unse bichhad kar aane lage
jab unse bichhad kar aane lage
ruk ruk ke chale, chal chal ke ruke
lab kaape ankhe bhar aaye
kuchh kehna chaha keh na sake
saajan ki galiya chhod chale
dil roya aasu beh na sake
saajan ki galiya
unke liye unko chhod diya
khud apne dilko tod diya
hum unke dil me rehte the
unke kadmo me reh na sake
saajan ki galiya chhod chale
dil roya aasu beh na sake
saajan ki galiya
saajan hai waha aur hum hai yaha
aise dil ko le jaaye kaha
jo paas bhi unke reh na sake
aur dard-e-judaai seh na sake
saajan ki galiya chhod chale
dil roya aasu beh na sake
saajan ki galiya