Lyrics of Sadiyo Purani Apni Kahani - सदियों पुरानी अपनी कहानी
sadiyo purani apni kahani, mohabbat ise aaj kaha ja rahi hai
hame sath dekha hai, ek baar phir se
zamane ki raftar sharma rahi hai
sadiyo purani apni kahani
mile the mile hai phir bhi milenge, ye hai wo safar jiski manzil nahi
mile the mile hai phir bhi milenge, ye hai wo safar jiski manzil nahi
wo ik lafz kahte hai jisko judaai, meri dasta me to shamil nahi
meri dasta me to shamil nahi
sadiyo purani apni kahani, mohabbat ise aaj kaha ja rahi hai
sadiyon puraani apni kahaani
zamane ki nazro ke andaz badle, magar teri meri nigahe na badli
zamane ki nazro ke andaaz badle, magar teri meri nigahe na badli
badalta raha aasma chal apni, ye rahi na badl, ye rahe na badle
ye rahi na badl, ye rahe na badle
sadiyo purani apni kahani, mohabbat ise aaj kaha ja rahi hai
sadiyon puraani apni kahaani
agar zulf zanjir banti rahegi, mohabbat ki taqdeer banti rahegi
agar zulf zanjir banti rahegi, mohabbat ki taqdeer banti rahegi
nigaaho ki ranginiya kam na hongi, ummeedo ki tasvir banti rahegi
ummeedo ki tasvir banti rahegi
sadiyo purani apni kahani, mohabbat ise aaj kaha ja rahi hai
hame sath dekha hai, ek baar phir se
zamane ki raftar sharma rahi hai
sadiyo purani apni kahani