Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Sabko Bhagwan Dekh Raha Tu
|
Suman Kalyanpur, Geeta Dutt | Kalyanji Veerji Shah | ||||
Ghar Ghar Ki Baat (1959) | Gulshan Bawra | ||||||
sabko bhagwan dekh raha tu
sabko bhagwan dekh raha tu
sabka palan hara tu
jiska jag me koi nahi hai uska ek sahara tu
sabko bhagwan dekh raha tu
sabka palan hara tu
jiska jag me koi nahi hai uska ek sahara tu
sabko bhagwan dekh raha tu
one two three four
sahara mil gaya haseen baho ka
ishara ho gaya teri nigaho ka
bahar bhi jawan hai mai teri tu kamal hai
ye tere liye hai zindagi
zindagi me tab hi sukh hai
zindagi me tab hi sukh hai
jab hum tera dhyan dhare
dur ho jiwan se andhiyara
jag me sukh ke deep jale
sabko bhagwan dekh raha tu
jalenge shamma ki low se parwane
mileng pyar me aaja diwane
bada maza hai pyar me kisi ke intazar me
ye nam hai isi ka zindagi
zindagi hai isi me prani
zindagi hai isi me prani
bhagawan ke gun gale tu
do din ka hai jiwan sara
isko safal bana le tu
bana lo humsafar koi raho me
basa lo pyar meri nigaho me
nazar mile jaha jale jaha se dur hum chale
dushman hai duniya pyar ki
sabko bhagwan dekh raha tu
sabko bhagwan dekh raha tu
sabka palan hara tu
jiska jag me koi nahi hai uska ek sahara tu
sabko bhagwan dekh raha tu