Lyrics of Sabji Kaat Kaat Ke - सब्जी काट काट के
sabji kaat kaat ke ye hath thak gaye hai
nikal bhi nahi sakte aaj aise fans gaye
roti sekte huye ye hath jal gaye hai
pyaj kaat kaat ke aansu aa gaye hai
magar wo, magar wo
kahan hai jiski khatir aaye hum sabhi
kamar bhi dikh jaye to main pahchan lunga abhi
ha sabji kaat kaat ke ye hath thak gaye hai
nikal bhi nahi sakte aaj aise fans gaye
roti sekte huye ye hath jal gaye hai
pyaj kaat kaat ke aansu aa gaye hai
magar wo, magar wo
kahan hai jiski khatir aaye hum sabhi
kamar bhi dikh jaye to main pahchan lunga abhi
ye gajar ka halwa ye laddu ye peda
ye rabdi ye kalakand chamcham rasgulla
ye barfi jalebi imarti ki lali
mithai me kesar ki khushbu hai daali
samosa kachaudi ye sweet sweet lassi
charo ne milke dekho item banaye assi
aisi hai iski khushbu aa jaye munh me pani
dekha to haal ye hai khaya to kya ho jani
nahi time kiya waste nahi liya koi rest
aisa chakha nahi taste khana bana bada best
magar wo, magar wo
kahan hai jiski khatir aaye hum sabhi
kamar bhi dikh jaye to main pahchan lunga abhi
gehu se bana aata, aate se bane roti
roti ke sang salan salan ke sang poti
kuram kuram papad ye daal ye paratha
ye baigan ka bharta achar khatta khatta
banwarchi asli aate to wo bhi na banate
jo humne hai banaya, jo humne hai sajaya
tha kaam thoda mushkil aasan kar dikhaya
ye humne sara khana ek chutki me banaya
nahi time kiya west nahi liya koi rest
aisa chakha nahi taste khana bana bada best
magar wo, magar wo
kahan hai jiski khatir aaye hum sabhi
kamar bhi dikh jaye to main pahchan lunga abhi
jiski khatir aaye hum sabhi
kamar bhi dikh jaye to main pahchan lunga abhi