Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Sab Me Shamil Ho Magar Sabse Juda Rehti Ho
|
Mohammed Rafi | Ravi | ||||
Bahu Beti (1965) | Sahir Ludhianvi | ||||||
sab me shamil ho magar sabse juda rehti ho
sab me shamil ho magar sabse juda rehti ho
sirf hamse nahi khud se bhi kafa lagti ho
sab me shamil ho magar
aankh uthati hai naa jhukati hai kisi ki khatir
aankh uthati hai naa jhukati hai kisi ki khatir
sans chadhati hai naa rukati hai kisi ki khatir
jo kisi dar pe naa thehare woh hawa lagti ho
sirf hamse nahi khud se bhi kafa lagti ho
sab me shamil ho magar
julf lehraye toh aanchal me chhupa leti ho
julf lehraye toh aanchal me chhupa leti ho
honth tharraye toh danto me daba leti ho
jo kabhi khul ke naa barse woh ghata lagti ho
sirf hamse nahi khud se bhi kafa lagti ho
sab me shamil ho magar
jagi jagi najar aati ho naa soyi soyi
jagi jagi najar aati ho naa soyi soyi
tum jo ho apne khayalat me khoyi khoyi
kisi mayus musavvir ki duwa lagti ho
sirf hamse nahi khud se bhi kafa lagti ho
sab me shamil ho magar