Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Sab Javan Sab Hasin Koi Tumasa Nahee
|
Mohammed Rafi | Lachchhi Ram | ||||
Main Suhagan Hoon (1966) | Kaifi Azmi | ||||||
sab javan sab hasin sab javan sab hasin
koi tum sa nahi
ho gaye jiske ham ho gaye jiske ham
woh tumhi ho tumhi
sab javan sab hasin sab javan sab hasin
koi tum sa nahi
dekha jo tumhe mahsus hua
pahchan hai apni muddat se
kwabon me basi thi jo surat
milti hai tumhari murat se
milti hai tumhari murat se
tum vahi ho vahi hai ye dil ko yaki
sab javan sab hasin sab javan sab hasin
koi tum sa nahi
rasta bhi mile manjil bhi mile
jab sath chale divane do
ya haath pakad lo badhke tumhi
ya mujako karib aa jane do
ya mujhko karib aa jane do
yeh sitam kab talak tum kahi ham kahi
sab javan sab hasin sab javan sab hasin
koi tum sa nahi
kuchh jaan ke bhi dhokha khaya
kuchh dekhe unke ishare bhi
lo aas ki badli me chamke
ummid ke chand sitare bhi
ummid ke chand sitare bhi
ho gai aaj puri dil ki kamin
sab javan sab hasin sab javan sab hasin
koi tum sa nahi koi tum sa nahi