Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Saath Do Dil Ka Hua Tha
|
Mohammed Rafi | Chitragupt | ||||
Hamari Shaan (1951) | Anjum Jaipuri | ||||||
sath do dil ka hua tha, use aakhir toda
pyar ka deep zamane ne bujhakar chhoda
dushman hai ye duniya do dil ki
dushman hai ye duniya do dil ki
rone bhi na de hansne bhi na de
rone bhi na de hansne bhi na de
ab dil ko jalaye dil ki lagi
rone bhi na de hansne bhi na de
rone bhi na de hansne bhi na de
dushman hai ye duniya
fariyad labo tak aa na saki
aankho se bhi aansu bah na sake
fariyad labo tak aa na saki
aankho se bhi aansu bah na sake
dukh dard ke mare duniya me
do din bhi khushi se rah na sake
karti hai sitam taqdeer meri
karti hai sitam taqdeer meri
rone bhi na de hansne bhi na de
rone bhi na de hansne bhi na de
dushman hai ye duniya
ummed ke sapne dikhlakar
gham dil me basati hai duniya
ummed ke sapne dikhlakar
gham dil me basati hai duniya
phulo me jo rahte hai unko
kaanto pe sulati hai duniya
hai iski purani reet yahi
hai iski purani reet yahi
rone bhi na de hansne bhi na de
rone bhi na de hansne bhi na de
dushman hai ye duniya