Lyrics of Rukh Se Parda Hata De Zara - रुख से पर्दा उठा दे जरा साकिया
rukh se parda utha de jara saakiya
bas abhi rang-e-mehfil badal jayega
rukh se parda utha de jara saakiya
bas abhi rang-e-mehfil badal jayega
hai jo behosh wo hosh me aayega
girne wala hai jo vo sambhal jaayega
rukh se parda utha de
tum tasalli na do sirf baitho raho
waqt kuchh mere marne ka tal jayega
tum tasalli na do sirf baitho raho
waqt kuchh mere marne ka tal jayega
kya ye kam hai masiha ke rahne hi se
maut ka bhi irada badal jayega
rukh se parda utha de
tir ki jaan hai dil, dil ki jaan tir hai
tir ko na yu khincho kaha maan lo
tir ki jaan hai dil, dil ki jaan tir hai
tir ko na yu khincho kaha maan lo
tir khicha to dil bhi nikal jayega
dil jo nikla to dam bhi nikal jayega
rukh se parda utha de
iske hasne me rone ka andaaj hai
khaak udane me fariyad ka raaz hai
iske hasne me rone ka andaaj hai
khaak udane me fariyad ka raaz hai
isko chhedo na anvar khuda ke liye
varna bimar ka dam nikal jayega
rukh se parda utha de jara saakiya
bas abhi rang-e-mehfil badal jayega
hai jo behosh wo hosh me aayega
girne wala hai jo vo sambhal jaayega
rukh se parda utha de