Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Rukh Se Jara Naqaab Utha Do Mere Huzoor
|
Mohammed Rafi | Shankar Jaikishan | Jeetendra, Mala Sinha | |||
Mere Huzoor (1968) | Hasrat Jaipuri | Tareef Songs, Romantic Songs | |||||
aaj dil ko tabaah karne do
khubsurat gunaah karne do
rukh se parda hatao jaan-e-haya
aaj dil ko tabah karne do
rukh se jara naqaab utha do mere huzoor
rukh se jara naqaab utha do mere huzoor
jalwa phir ek baar dikha do mere huzoor
tum hamsafar mile ho mujhe is hayaat mein
tum hamsafar mile ho mujhe is hayaat mein
mil jaay jaise chaand koyi suni raat mein
jaaoge tum kahaan yeh baata do mere huzoor
rukh se jara naqaab utha do mere huzoor
jalwa phir ek baar dikha do mere huzoor
husn-o-jamaal aapka sheeshe mein dekhkar
husn-o-jamaal aapka sheeshe mein dekhkar
madhosh ho chuka hu main jalwo ki raah par
gar ho sake toh hosh mein laa do mere huzoor
rukh se jara naqaab utha do mere huzoor
jalwa phir ek baar dikha do mere huzoor
wo marmari se haath wo mehka hua badan
wo marmari se haath wo mehka hua badan
takraaya mere dil se muhabbat ka ik chaman
mere bhi dil ka phool khila do mere huzoor
rukh se jara naqaab utha do mere huzoor
jalwa phir ek baar dikha do mere huzoor