Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Roti Hui Ankho Me Tasveer Kisi Ki
|
Asha Bhosle | Basant Prakash | ||||
Saloni (1952) | Raja Mehdi Ali Khan | ||||||
roti huyi aankho me hai tasveer kisi ki
roti huyi aankho me hai tasveer kisi ki
ae dil kabhi dushman na ho taqdeer kisi ki
roti huyi aankho me hai tasveer kisi ki
ae dil kabhi dushman na ho taqdeer kisi ki
roti huyi
har ashq sunata hai mere gham ki kahani
arman luta baithi hai masum jawani
arman luta baithi hai masum jawani
kyu tut gayi pyar ki zanzir kisi ki
ae dil kabhi dushman na ho taqdeer kisi ki
roti huyi
suni hai andheri hai mere ishq ki raahe
kuch dhundh rahi hai meri betaab nigahe
kuch dhundh rahi hai meri betaab nigahe
banti nahi tadbeer se taqdeer kisi ki
ae dil kabhi dushman na ho taqdeer kisi ki
roti huyi aankho me hai tasveer kisi ki
ae dil kabhi dushman na ho taqdeer kisi ki
roti huyi