Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Roti Ankho Me Teri Yaad Liye Jati Hu
|
Amirbai Karnataki | Husnlal Bhagatram | ||||
Nargis (1946) | Qamar Jalalabadi | ||||||
roti aankho me teri yaad liye jati hu
roti aankho me teri yaad liye jati hu
yaad rakhna dil-e-barbad liye jati hu
yaad rakhna dil-e-barbad liye jati hu
jati hu tuti hui aas ko bahlati hui
jati hu tuti hui aas ko bahlati hui
ek nishani liye jati hu teri ? hui
ek nishani liye jati hu teri ? hui
roti aankho me teri yaad liye jati hu
yaad rakhna dil-e-barbad liye jati hu
o mere sahare
o mere sahare ye agar ho mere bas me
pal bhar me badal dalu zamane ki rasme
pal bhar me badal dalu zamane ki rasme
aakash se khuda ko jami par uatar kar
aakash se khuda ko jami par utaar kar
daman pakad ke usse kahun ye pukar kar
daman pakad ke usse kahun ye pukar kar
ek hath se ye bahte hue aansu poch de
ek hath se ye bahte hue aansu poch de
ek hath se zamane ke seene ko chir de
lekin is waqt mere gum ke siva koi nahi
lekin is waqt mere gum ke siva koi nahi
dukhi insan ka dunia me khuda koi nahi
dukhi insan ka dunia me khuda koi nahi
dil me gham hotho pe fariyaad liye jati hu
dil me gham hotho pe fariyaad liye jati hu
roti aankho me teri yaad liye jati hu