Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Raushani Apani Umangon Ki Lutaa Kar Chal Diye
|
Noor Jehan | Datta Korgaonkar | Masud, Noor Jehan | |||
Nadaan (1943) | Zia Sarhadi | ||||||
raushani apni umango ki lutaa kar chal diye

apni qismat ke diye hum khud bujhaa kar chal diye

jinse milne ki duaa karte rahe hum umr bhar
jab wo pahuche hum nazar apni jhukaa kar chal diye
raushani apni umango ki lutaa kar chal diye
wo teri qismat se ban jata hai dushman tera dost

hum yaha har dost ko dushman bana kar chal diye
dekhne aur sunane waalo ko pasand aaye na aaye

jo kisi dil ki kahaani hum suna kar chal diye