Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Rate Thi Chandni Joban Par Thi Bahar
|
Rafiq Ghaznavi, Amirbai Karnataki | Vasant Kumar Naidu, Hafiz Khan Mastana | ||||
Mere Sajan (1941) | Waheed Qureshi | ||||||
raate thi chandani joban pe thi bahaar
raate thi chandani joban pe thi bahaar
baago me phul jhum rahe the khushi ke sath
hansta tha paat paat
itne me ek bhanvre ki pyaasi nigaah ne
dekha jo dur se
itne me ek bhanvre ki pyaasi nigaah ne
dekha jo dur se
ke phul jhum jhum ke hansta tha baar baar
joban pe thi bahaar
raate thi chandani joban pe thi bahaar
udta hua machalta hua aa gaya waha
phulo ke aas paas
udta hua machalta hua aa gaya waha
phulo ke aas paas
kuch geet gungunake sunane laga use
ulfat se pyaar ke
dekha jo chand ne ye tamsaha tadap gaya
badal me chhip gaya
dekha jo chand ne ye tamsaha tadap gaya
badal me chhip gaya
bhanvre ka pyaar dekh ke sharma gaya gulaab
sar ko jhuka diya
phulon ki is adaa pe use pyaar aa gaya
phulon ki is adaa pe use pyaar aa gaya
bhanvre ne badhke phul ko dil se laga liya
bhanvre ne badhke phul ko dil se laga liya
joban pe thi bahaar
raate thi chandani joban pe thi bahaar
ek roz kya hua
khamosh thi fiza
ek roz kya hua
khamosh thi fiza
aakash par na chaad na taare na chandni
yaani thi dopahar
bhanvre ki narm god me soya hua tha phul
duniya se bekhabar
bhanvre ki narm god me soya hua tha phul
duniya se bekhabar
bhanvra chura ke aankh nihayat safaai se
haule se uth gaya
phulo me jitna ras tha vo chori se pi gaya
chupke se ud gaya
angdaai le ke phul utha jab hawa chali
angdaai le ke phul utha jab hawa chali
dekha to uski mast jawani thi lut chuki
joban pe thi bahaar
raate thi chandani joban pe thi bahaar