Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Rat Ke Pichhale Paharo Me
|
Asha Bhosle | Jaidev | ||||
Anjali (1957) | Nyaya Sharma | ||||||
raat ke pichhale paharo me
tum kya jano ham kyo roye
raat ke pichhale paharo me
tum kya jano ham kyo roye
raat ke pichhale
aansu na thame, dukh so na saka
aansu na thame, dukh so na saka
thak haar ke taare bhi soye
raat ke pichhale paharo me
biraha ki ghataaye aisi uthi
biraha ki ghataaye aisi uthi
bin garje badal baras gaye
aise ghanaghor andhero me
hamane kitne moti khoye
raat ke pichhale paharo me
bedardi tum kya samajhoge
bedardi tum kya samajhoge
kya biti thi apne dil par
jab aag bhari barasato me
ankho ne angare boye
raat ke pichhale paharo me
tum kya jano ham kyo roye
raat ke pichhale paharo me