Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Rajguru Ne Jhansi Chhodi
|
Mohammed Rafi | Vasant Desai | Mehtab, Sohrab Modi | |||
Jhansi Ki Rani (1953) | Pandit Radheshyam | Patriotic Songs | |||||
rajguru ne jhansi chhodi
le ishvar ka naam
janam bhumi jab sankat me hai
phir kaisa vishram
rajguru ne jhansi chhodi
le ishvar ka naam
pahle mandir gaya
pahle mandir gaya nav par
phir pahucha majhdhar
lahre udhar nadi me thi
man me the idhar vichar
hathi par ghuma lekin bechain
vaha bhi man tha
hathi par ghuma lekin bechain
vaha bhi man tha
rath par bhi kuch dur chala
par vo hi bavlapan tha
usi lagan me chala unt par
usi lagan me chala unt par
ek roj mastana
duniya samaji divana ye
duniya samaji divana ye
desh ka tha divana
ye desh ka tha divana
paidal bhi vo chala
magar vyakulta huyi na dur
jhansi ki takdir le gai
aakhir usse bhi dur
aakhir usse bhi dur