Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Rahe Naa Rahe Chahe Hum Aur Tum
|
Kishore Kumar, Lata Mangeshkar | Bappi Lahiri | ||||
Ek Ladki Badnaam Si (1974) | Kulwant Jani | ||||||
rahe na rahe chahe hum aur tum
rahe na rahe chahe hum aur tum
charche jahan me humare rahenge
rahe na rahe chahe hum aur tum
charche jahan me humare rahenge
jeete ji bhi sath tumhare rahe hai
mar ke bhi sath tumhare rahenge
rahe na rahe chahe hum aur tum
charche jahan me humare rahenge
palko ki chilman jo uthi rahe to
dekha karti hun tujhe paas apne
palko ki chilman jo gir jaaye to
dekhti hai aankhe meri tere sapne
band rahe ya khuli rahe sajna
najro me tere hi najaare rahenge
rahe na rahe chahe hum aur tum
charche jahan me humare rahenge
chhod ke na jag me akele mujhko
dur meri najro se jana o sanam
isi me chhupi hai mere dil ki khushi
aaj mere sath sath khaao ye kasam
saanso ki ladi jab tak rahegi
ek dusre ke hum sahare rehenge
rahe na rahe chahe hum aur tum
charche jahan me humare rahenge
do hai ye badan magar ek jaan hai
sacche premiyon ki yahi pahchan hai
sang sang jeene ki tamanna dil me
sath sath marne ka armaan hai
dharti pe rahe mahbub banke
aasma pe banke sitaare rahenge
rahe na rahe chahe hum aur tum
charche jahan me humare rahenge
jeete ji bhi sath tumhare rahe hai
mar ke bhi sath tumhare rahenge
rahe na rahe chahe hum aur tum
charche jahan me humare rahenge
charche jahan me humare rahenge