Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Raato Ko Jab Neend Udd Jaye
|
Lata Mangeshkar | Salil Chowdhury | ||||
Mem Didi (1961) | Shailendra | ||||||
raato ko jab nind ud jaye
ghadi ghadi yad koi aaye
kisi bhi surat se bahle na dil
tab kya kiya jaye bolo kya kiya jaye
raato ko jab nind ud jaye
ghadi ghadi yad koi aaye
kisi bhi surat se bahle na dil
tab kya kiya jaye bolo kya kiya jaye
ye to pyar ka rog hai rog bura
jise ek dafa ye laga to laga
ye to pyar ka rog hai rog bura
jise ek dafa ye laga to laga
chanda ko dekh aag lag jaye
tanhayi me chandani na bhaye
thandi hawao me kanpe badal
tab kya kiya jaye bolo kya kiya jaye
ye to pyar ka rog hai rog bura
jise ek dafa ye laga to laga
ye to pyar ka rog hai rog bura
jise ek dafa ye laga to laga
hotho pe naam aaye jaye
aankho me jab muskuaye
darpan me surat parayi dikhe
tab kya kiya jaye bolo kya kiya jaye
ye to pyar ka rog hai rog bura
jise ek dafa ye laga to laga
ye to pyar ka rog hai rog bura
jise ek dafa ye laga to laga
sakhiyo ke bich dil ghabraye
dar ho kahi bat khul jaye
lekin akele me dhadke jiya
tab kya kiya jaye bolo kya kiya jaye
ye to pyar ka rog hai rog bura
jise ek dafa ye laga to laga
ye to pyar ka rog hai rog bura
jise ek dafa ye laga to laga
raato ko jab nind ud jaye
ghadi ghadi yad koi aaye
kisi bhi surat se bahle na dil
tab kya kiya jaye bolo kya kiya jaye
ye to pyar ka rog hai rog bura
jise ek dafa ye laga to laga
ye to pyar ka rog hai rog bura
jise ek dafa ye laga to laga