Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Raato Ki Siyahi Hai Aur Din Ka Ujhala Hai
|
Mohammed Rafi | Usha Khanna | ||||
Raat Andheri Thi (1967) | |||||||
raato ki siyahi hai aur din ka ujala hai
teri aankho ka rang nirala hai
teri aankho ka rang nirala hai
raato ki siyahi hai aur din ka ujala hai
sadhke tumhari najro pe
gussa bhi hai inme pyar bhi hai
mate pe baal hotho pe hasi
inkar bhi hai ikarar bhi hai
in palko ki chilman to utha
samjhu to ye raaj hai kya
raato ki siyahi hai aur din ka ujala hai
haye pyar hami se hoga tumhe
ye rukne wali baat nahi
aag lagi hai hoga duaa
ye chupne wali baat nahi
ab chhod bhi de gusse ki ada
ab maan bhi ja mere ruthe khuda
raato ki siyahi hai aur din ka ujala hai
na na garam mijaji thik nahi
is pyar ki thandi chav me
itlakar chalne wali
kahi moch na aa jaye panv me
tumko to kisi se pyar nahi
to hum bhi kisi ke yaar nahi
raato ki siyahi hai aur din ka ujala hai
teri aankho ka rang nirala hai
teri aankho ka rang nirala hai
raato ki siyahi hai aur din ka ujala hai