Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Raat Aati Hai To Har Dard Chamak Uthata Hai
|
Manna Dey | Jaidev | Sunil Dutt | |||
Ek Gunah Aur Sahi (1980) | Jan Nisar Akhtar | Sad Songs | |||||
rat aati hai to har dard chamak uthata hai
aaj ki rat bhi aankho me gujar jayegi
aasma chup hai fija chup hai
sitare chup hai dil dhadakne
ke siva koi bhi aawaz nahi
koi dastak hai na aahat hai na kadmo ki sada
rat ke hath me is wqat koi saz nahi koi saz nahi
aaj ki rat bhi aankho me gujar jayegi
dard aur dard bhi dasti huyi tanhai ka
aisa lagta hai ke jina bhi saza ho jaise
kitni bojhal hai fija sans ghuti jati hai
ek pathar hai ke sine pe dhara ho jaise
aaj ki rat bhi aankho me gujar jayegi
rat aati hai to har dard chamak uthata hai
kabhi lagta hai isi hal me jina hoga
aur kuch din mere jine ka yahi taur sahi
kabhi kahta hai ye khamosh andhera mujhse
ek gunah aur sahi aur sahi aur sahi
ek gunah aur sahi aur sahi aur sahi
ek gunah aur sahi aur sahi aur sahi