Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Raaste Ka Pathhar
|
Mukesh Chand Mathur | Laxmikant Pyarelal | Amitabh Bachchan, Prem Chopra, Shatrughan Sinha | |||
Raaste Kaa Patthar (1972) | Anand Bakshi | Philosophical Songs | |||||
raaste ka patthar kismat ne mujhe bana diya
jo raaste se gujra ek thokar laga gaya
raaste ka patthar
kitne ghaw lage hai ye mat puchho mere dil pe
kitne ghaw lage hai ye mat puchho mere dil pe
kitni thokar khayi na pahuncha manzil pe
koi aage fenk gaya to koi pichhe hata gaya
raaste ka patthar kismat ne mujhe bana diya
jo raaste se gujra ek thokar laga gaya
raaste ka patthar
pahle kya kar paya kya iske baad karunga main
pahle kya kar paya kya iske baad karunga main
ja ri ja aye duniya kya tujhko yaad karunga main
do din teri mehfil me kya aaya kya gaya
raaste ka patthar kismat ne mujhe bana diya
jo raaste se gujra ek thokar laga gaya
raaste ka patthar
heera banke chamka har ek musafir ko roka
heera banke chamka har ek musafir ko roka
ye ummed bhi tuti logo ne na khaya dhokha
har ek uthakar mujhko phir yahi gira gaya
raaste ka patthar kismat ne mujhe bana diya
jo raaste se gujra ek thokar laga gaya
raaste ka patthar kismat ne mujhe bana diya
jo raaste se gujra ek thokar laga gaya
raaste ka patthar