The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Qurbaan Meri Jaan Muhammad Ke Naam Par
0
Mohammed Aziz Anwar, Usman
Bijli Aur Toofan (1988) Khalid Sad Songs
Lyrics of Qurbaan Meri Jaan Muhammad Ke Naam Par - कुर्बान मेरी जान मुहमद के नाम पर

kurban meri jaan muhmad ke naam par
kurban meri jaan muhmad ke naam par
marta hai musalma
marta hai musalman muhmad ke naam par
kurban meri jaan muhmad ke naam par
kurban meri jaan muhmad ke naam par

allah ne bkasha din nurani khjana
ek mai nahi kahta hu ye kahta hai zmana
allah ne bkasha din nurani khjana
ek mai nahi kahta hu ye kahta hai zmana
hote na muhmad to kaha hota thikana
laya hu mai iman muhmad ke naam par
kurban meri jaan muhmad ke naam par
kurban meri jaan muhmad ke naam par

us kali kamli wale ka ek wakaya suno
ishq ke rasul kahte kise hai zara suno
mulke arab me ek tikha tuna bemisal
tha uska dil rasul ki ulfat se malamal
dorane jang chal chali dushmanan ne
falayi ye khabar ke muhmad nahi rahe
sunte hi is khabar ko preshan ho gayi
ghar se nikal ke jang ke madan ko chali

biwi ne raste me kai logo ko dekha
mere hujur kaise hai majme se ye puchha
khamosh sab khade rahe aur koi na bola
ek shkas ne jawab diya uski bat ka
hajrat to khariyat se hai par hai buri khabar
is jang me tumhare shohar gaye gujar
sunte hi is khabar ko kiya sabar aur parnam

ek zakham kaya magar dil par phir bhi na ruki
hajrat ko dekhne ke liye dodne lagi
majma ek aur nazar aaya usko samne
achhe to rasul hai lagi sab se puchhne
khamosh sab khade rahe aur koi na bola
ek shkas ne jawab diya uski bat ka
hajrat to khariyat se hai par hai buri khabar
is jang me tumhara beta gaya hai mar
sunte hi is khabar ko kiya sabar aur parnam

itne me usko dur nazar aa gaye nabi
ek dam khushi se aapke kadmo pe gir padi
pyare nabi ne sabar ki talkim ki use
barish ho bharkato ki tujh par khuda kare
aurat ne ye suna to kaha aye mere nabi
jab aap slamat hai to phir gum nahi koi
pyare hujur mere sabhi aap pe kurba
hum aap ki umat me hai hum par hai ye ehsa

paigam hai sabhi ke liye aapka farma
hai khatam dastan muhmad ke naam par
kurban meri jaan muhmad ke naam par
kurban meri jaan muhmad ke naam par
marta hai musalma
marta hai musalman muhmad ke naam par
kurban meri jaan muhmad ke naam par
kurban meri jaan muhmad ke naam par
kurban meri jaan muhmad ke naam par, muhmad ke naam par