Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Pyas Kuch Aur Bhi Bhadka Di Jhalak Dikhla Ke
|
Asha Bhosle | Khayyam | ||||
Lala Rukh (1958) | Kaifi Azmi | ||||||
pyas kuch aur bhi bhadka di jhalak dikhla ke
tujhko parda ruke roshan se hatana hoga
chand me noor na taaro me chamak baki hai
ye andhera meri duniya ka mitana hoga
hai mujhe hizr ki raato me jagane wale
ja kabhi nind judai me na ayegi tujhe
subah tapkegi teri ankh se ansu banke
raat seene ki kasak banke jagayegi tujhe
tujhko parda rukhe roshan se hatana hoga
ye andhera meri duniya ka mitana hoga
koi arma hai na hasrat hai na umeed hain
ab mere dil me mohbbat ke siwa kuch bhi nahi
ye mukadar ki kharabi ye zamane ka sitam
bewafa teri inayat ke siwa kuch bhi nahi
tujhko parda rukhe roshan se hatana hoga
ye andhera meri duniya ka mitana hoga
pyas kuch aur bhi bhadka di jhalak dikhla ke
tujhko parda rukhe roshan se hatana hoga
chand me nur na taaro me chamak baki hai
ye andhera meri duniya ka mitana hoga