Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Pyar Jeevan Bhar Ka
|
Anuradha Paudwal, Suresh Wadkar | Sapan Jagmohan | ||||
Swarthi (1986) | M G Hashmat | ||||||
jis shakh par mera gharonda tha
wo shakh tut ke bikhar gayi
har tinka jalkar khak hua
aur khak bhi jane kidhar gayi
jab dil ki basti ujad gayi
jab dil ki basti ujad gayi
ye duniya ek virana hai
kabhi aankh me aansu ubhre to
kabhi aankh me aansu ubhre to
palko me use chhupana hai
pyar jivan bhar ka bandhan hai
bandhan hai bandhan hai bandhan hai
jab swarthi ban gaye apne hi
apno pe bharosa tut gaya
taqdeer ne aisi karwat li
gharbar bhi humse chhut gaya
aise me dard ke maro ka
aise me dard ke maro ka
na jane kahan thikana hai
kabhi aankh me aansu ubhre to
kabhi aankh me aansu ubhre to
palko me use chhupana hai
pyar jivan bhar ka bandhan hai
bandhan hai bandhan hai bandhan hai