Lyrics of Pyar Chhupta Nahi - प्यार छुपता नहीं
ghar ke sare khidkiya aur darwaze kar lo band
o phir bhi aa jaati hai logo ko iski sugandh
ghar ke sare khidkiya aur darwaze kar lo band
phir bhi aa jaati hai logo ko iski sugandh
pyar chhupta nahi hai chhupane se
pyar chhupta nahi hai chhupane se
aag bujhti nahi ye bujhane se baliya, sathiya

khali kagaj, band lifafa, koi pata na naam
o o phir bhi kar deta hai ye dil walo ko badnaam
khali kagaj, band lifafa, koi pata na naam
phir bhi kar deta hai ye dil walo ko badnaam
raaz chhupta nahi ye chhupane se
raaz chhupta nahi ye chhupane se
aag bujhti nahi ye bujhane se baliya, sathiya
pyar chhupta nahi hai chhupane se
aag bujhti nahi ye bujhane se baliya, sathiya
dilbar dil me yu aata hai jaise ghar me chor
o o pakdi jaati hai ye chori mach jata hai shor
dilbar dil me yu aata hai jaise ghar me chor
pakdi jaati hai ye chori mach jata hai shor
baat dabti nahi ye dabane se
baat dabti nahi ye dabane se
aag bujhti nahi ye bujhane se baliya, sathiya
pyar chhupta nahi hai chhupane se
aag bujhti nahi ye bujhane se baliya, sathiya
pyar to sare log tabhi to kahte hai beteer
o o kuch mat puchho kya hota hai jab lagta hai teer
pyar to sare log tabhi to kahte hai beteer
kuch mat puchho kya hota hai jab lagta hai teer
dard jata nahi jaan jane se
dard jata nahi jaan jane se
aag bujhti nahi ye bujhane se baliya, sathiya
pyar chhupta nahi hai chhupane se
aag bujhti nahi ye bujhane se baliya, sathiya
neele peele ho jate hai sare badan ke ang
o o bhule se lag jata hai jab in par prem ka rang
neele peele ho jate hai sare badan ke ang
bhule se lag jata hai jab in par prem ka rang
daag mitte nahi phir mitane se