Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Pyaas Kuchh Aur Bhi Bhadka Di Jhalak Dikhla Ke
|
Talat Mehmood, Asha Bhosle | Khayyam | Talat Mahmood, Shyama | |||
Lala Rukh (1958) | Kaifi Azmi | ||||||
pyaas kuchh aur bhi bhadka di jhalak dikhlake
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
itni gustakh na ho ishq ki aavara nazar
husn ka pas nigaho ko sikhana hoga
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
husn ka pas nigaho ko sikhana hoga
chand taro ko mayassar hai nazara tera
meri betab nigaho se ye parda kyo hai
chand aayina mera tare mere naqsh-e-kadam
gair ko ankh milane ki tamanna kyo hai
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
husn ka pas nigaho ko sikhana hoga
tujhko dekha tujhe chaha tujhe puja maine
bas yahi isake siva meri khata kya hogi
hamne achaa kiya ghabra ke jo munh pher liya
isse kam dil ki tadapne ki saza kya hogi
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
husn ka pas nigaho ko sikhana hoga
pyas kuchh aur bhi bhadka di jhalak dikhlake
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
itni gustakh na ho ishq ka avara nazar
husn ka pas nigaho ko sikhana hoga
pyas kuchh aur bhi bhadka di jhalak dikhala ke
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
chand me nur na taro me chamak baqi hai
ye andhera meri duniya ka mitana hoga
ai mujhe hijr ki rato me jaganevale
ja kabhi nind judai me na ayegi tujhe
subah tapakegi teri ankh se ansu banake
rat sine ki kasak ban ke jagayegi tujhe
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
ye andhera meri duniya ka mitana hoga
koi araman hain na hasarat hai na ummide hai
ab mere dil me muhabbat ke siva kuchh bhi nahi
ye muqaddar ki kharabi ye zamane ka sitam
bevafa teri inayat ke siva kuchh bhi nahi
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga
ye andhera meri duniya ka mitana hoga
pyas kuchh aur bhi bhadka di jhalak dikhala ke
tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga