Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Puchhungi Ek Din Pichhle Pahar Me
|
Lata Mangeshkar | Chitragupt | Nanda | |||
Barkha (1959) | Rajinder Krishan | Lori Songs, Sad Songs | |||||
puchungi ek din pichle pahar me
soye huye chaand taaro se
mohe batao kyun khafa ho
nindiya bhi kismat ke maaro se
kab tak gujare ro ro ke din yu
aankho hi aankho me raate
kab tak gujare ro ro ke din yu
aankho hi aankho me raate
tum bhi sitaro so jaate ho phir
kisse kare jee ki baate
rakho na dil me kah bhi do tumko
shikwa hai kya besaharo se
puchungi ek din pichle pahar me
soye huye chaand taaro se
mohe batao kyun khafa ho
nindiya bhi kismat ke maaro se
itna bata do kab rang layegi
majlum ki bejubani
itna bata do kab rang layegi
majlum ki bejubani
likhte rahenge kab tak hamari
ashko se apni kahani
badlega kis din mausam fiza ka
milenge kab din baharo se
puchungi ek din pichle pahar me
soye huye chaand taaro se
mohe batao kyun khafa ho
nindiya bhi kismat ke maaro se