Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Puch Rahe We Yaar
|
Talat Mehmood, Surinder Kaur | Govind Ram | ||||
Shadi Ki Raat (1950) | Sarshar Sailani | ||||||
puchh rahe the yaar puchh rahe the yaar
ke biwi ke biwi kaisi ho
lo suniye sarkar
ke biwi ke biwi kaisi ho
lo suniye sarkar
ke biwi ke biwi kaisi ho
jiske husn ki shohrat yaaro
door door tak phaili ho
aankh na jis per daali jaaye
hath lagaye maili ho
naaz o ada ki putli bhi wo
aur wo upto date bhi ho
shokh bhi ho wo chanchal bhi ho
aur bhi nek ho apni hai ye raay
ke biwi ke biwi aisi ho
lo suniye sarkaar
ke biwi ke biwi kaisi ho
puchh rahin thhi sakhiya shauhar kaisa ho
puchh rahin thhi sakhiya shauhar kaisa ho
aao batayen tumhen ke shauhar ke shauhar aisa ho
aao batayen tumhen ke shauhar ke shauhar aisa ho
m a ho ya b a lekin
shahar ka rehne waala ho
m a ho ya b a lekin
shahar ka rehne waala ho
baanka uncha chhail chhabeela
fashion ka matwaala ho
sair sapate theatre cinema
har cheez ki aazaadi ho
jab ye baaten tay ho jaaye
phir dono ki shadi ho
phir dono ki shadi ho
apni hai ye raay
ke shauhar ke shauhar aisa ho
aao batayen tumhen ke shauhar
ke shauhar aisa ho
roop jawaani nakhre wakhre
do din ke mehman hain sab
in baaton per marne wale ae ae
sach puchho nadan hain sab
chamak uthe ghar baithe hi
sarkar sitara yaaro ka
biwi agar dahez mein
leker aaye maal hazaro ka
apni hai ye raay
ke biwi ke biwi aisi ho
lo suniye sarkar
ke biwi ke biwi kaisi ho