Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Prem Ki Sun Lo Nayi Kahani
|
Shabbir Kumar | Ajay Swami | ||||
Nain Mile Chain Kahan (1986) | Naqsh Lyallpuri | ||||||
prem ki sun lo nayi kahani
prem ki sun lo nayi kahani
isme itna dard hai tum bhi
aankho me bhar loge pani
prem ki sun lo nayi kahani
prem ki sun lo nayi kahani
is nagri me is nagri me pada tha sukha
sukh gaye the nadiya nale
bund bund ko taras gaye the
basti ke sab rahne wale
charo kone phail rahe the
maut ke saye kale kale
sabhi duvaye mang rahe the
sabhi duvaye mang rahe the
gagan se utre barkha rani
prem ki sun lo nayi kahani
prem ki sun lo nayi kahani
bhigi aankhe utre chehre
deke hare sabhi duhayi
kisi bhi hile kisi jatan se
jab mushkil na talne payi
jab khel gaye do premi
dono ne ye kasam uthai
badal se jis din barsega
badal se jis din barsega
hum bhi us din piyenge pani
prem ki sun lo nayi kahani
prem ki sun lo nayi kahani
pyas ki agni me jalkar bhi
unke hoth nahi kumlaye
jab unka dam tut raha tha
ambar me badal ghir aaye
rimjhim rimjhim pani barsa
dono ant samay muskaye
amar ho gaye jag me dono
amar ho gaye jag me dono
yaad rahegi ye kurbani
prem ki sun lo nayi kahani
prem ki sun lo nayi kahani
isme itna dard hai tum bhi
aankho me bhar loge pani
prem ki sun lo nayi kahani
prem ki sun lo nayi kahani