Lyrics of Piya Tora Kaisa Abhiman - पिया तोरा कैसा अभिमान
piya tora kaisa abhiman
piya tora kaisa abhiman
kisi mosam ka jhoka tha
jo is diwar par lataki huyi tasvir tirachhi kar gaya hai
gaye sawan me ye diware yu shili nahi thi
na jane is dafa kyu in me shilan aa gayi hai
darare pad gayi hai aur shilan is tarha bathi hai jaise
kushka rukhsaro pe gile aansu bahate hai
saghan sawan layi kadam bahar
mathura se doli laye charo kahar
nahi aaye, nahi aaye keshriya balma humar
angana bada sunsan
ye barish gungunati thi isi chhat ke mundero par
ye barish gungunati thi isi chhat ke mundero par
ye ghar ki khidkiyo ke kach par ungli se likh jati thi sandese
bilgti rahti hai baithi huyi ab band roshandano ke pichhe
apne nayan se nir bahaye, apni jamuna khud aap hi banave
apne nayan se nir bahaye, apni jamuna khud aap hi banave
duphare aisi lagti hai bina moharo ke khali khane rakhe hai
na koi khelane wala hai bazi, na koi chal chalta hai
lakh bar usme hi nahaye, pura na huyi asanan
phir pura na huyi asanan
sukhe kesh rukhe besh manva bejan
na din hota hai ab na rat hoti hai
sabhi kuch ruk gaya hai wo kya mosam ka jhoka tha
jo is diwar par lataki huyi tasvir tirachhi kar gaya hai
piya tora kaisa abhiman, tora
piya tora, tora, tora, tora
kaisa abhiman, piya tora