Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Pinjra Tod Ke Ud Jaana Hai
|
Sunidhi Chauhan | Sachin Jigar | Kangana Ranaut | |||
Simran (2017) | Priya Saraiya | ||||||
sitaron mein sitara jo hai
mere naam ka chamka abhi
zameen pe hai ye roshni
ya hai aasmaan bikhra abhi
jannat ke saaye jannat le aaye
hai baahon mein ab zindagi
kismat ki dori jo bandhi woh kholi
jeene chali main ab zindagi
pinjra tod ke tod ke udd jaana hai
baahein khol ke khol ke udd jaana hai
pinjra tod ke tod ke udd jaana hai
baahein khol ke khol ke udd jaana hai
o le..o le..o le..o le..o le..o le..
o le..o le..o le..o le..o le..o le..
woh hi hoon main ya hoon nayi
ab kuch farak sa hai jeene mein
utar gaya sukun se
jo koi karz tha iss seene mein
jannat ke saaye jannat le aaye
mere waaste ye karlo yakeen
ab iss pal ko itni darkhaast hai ki
pal mein kahi ghum hona nahi
pinjra tod ke tod ke udd jaana hai
baahein khol ke khol ke udd jaana hai
pinjra tod ke tod ke udd jaana hai
baahein khol ke khol ke udd jaana hai
lehrein khwahishon ki dil mein mere beh chali
raahein woh puraani chod ke ab main chali
pinjra tod ke tod ke udd jaana hai
baahein khol ke khol ke udd jaana hai
pinjra tod ke tod ke udd jaana hai
baahein khol ke khol ke udd jaana hai
hey..haan..hmm..mm..