Lyrics of Phul Hai Baharo Ka Bag Hai Najaro Ka - फूल है बहारो का बैग है नजरो का
phul hai baharo ka bag hai najaro ka
or chand hota hai sitaro ka
mera tu tuhi tu
phul hai baharo ka bag hai najaro ka
or chand hota hai sitaro ka
mera tu tuhi tu
mauj hai kinaro ki rat bekararo ki
or rim jhim sawan ki fuharo ki
meri tu tuhi tu
mauj hai kinaro ki rat bekararo ki
or rim jhim sawan ki fuharo ki
meri tu tuhi tu
kabhi kahi mai kho jau, kaha dhunde kaha jaye
mera pata fir tu kisse puche
jiske dil me tu basa hai, jiske dil me tu chupa hai
wo tujhe galiyo me kyu dhunde
nam mastane ka ishk hai diwane ka
or teer hota hai nishane ka
meri tu tuhi tu
o diwane maine aisa kya kaha hai
kya hua hai
tune dil kyu tham liya hai
o hasina kya batau tere dil me
mere dil ko pyar bhara paygam diya hai
reet hai jamane ki aaj hai fasane ki
or shama hoti hai parwane ki
mera tu tuhi tu
phul hai baharo ka bag hai najaro ka
or chand hota hai sitaro ka
meri tu tuhi tu, mera tu tuhi tu