Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Phirte Hai Kabse Dar Badr
|
Satish Batra, Pramodini Desai | B N Bali | ||||
Fariyaadi (1953) | Muzaffar Orkazai | ||||||
phirte hai kabse dar badr ab is najar ab us najar
ek dusre ke humsafar main aur meri aawaragi
na aasna har rahgujar na maharba sabki najar
jaye to ab jaye kidhar main aur meri aawaragi
phirte hai kabse dar badr ab is najar ab us najar
ek din mili ek mahjbi tan bhi hansi ja bhi hansi
dil ne kaha humse yahi khwabo ki hai manjil yahi
khwabo ki hai manjil yahi
phir yu huaa vo kho gai phir mujhko jid si ho gai
layegi usko dhundh kar main aur meri aawaragi
phirte hai kabse dar badr ab is najar ab us najar
ye dil hi tha jo sah gaya vo baat iasi kah gaya
kahane ko phir kya rah gaya ashko ka dariya bah gaya
ashko ka dariya bah gaya
ab pyar jal ke mar gaya tere liye main mar gaya
rote hai ab vo raat bhar main aur meri aawaragi
phirte hai kabse dar badr ab is najar ab us najar
hum bhi kabhi aabad the aise kaha barbad the
befikar the aajad the mashhur the dilshad the
mashhur the dilshad the
vo chal aisi chal gaya hum bujh gaye dil jal gaya
nikle jala ke ghar apna main aur meri aawaragi
phirte hai kabse dar badr ab is najar ab us najar
ek dusre ke humsafar main aur meri aawaragi
phirte hai kabse dar badr ab is najar ab us najar