Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Phir Teree Kahanee Yad Aayee
|
Lata Mangeshkar | Naushad | Waheeda Rehman, Dilip Kumar | |||
Dil Diya Dard Liya (1966) | Shakeel Badayuni | Sad Songs | |||||
phir teree kahanee yad aayee, phir teraa fasana yad aaya
phir aaj humaree aankho ko, ek khwab purana yad aaya
jalate hain chirago kee surat, har sham teree ham yado me
jab subah ko shabanam rotee hai, kho jate hain ham fariyado me
jab dil ne koyee aawaj sunee, teraa hee tarana yad aaya
shayad kabhee milana ho jaye, baithhe hain isee arman me ham
tune toh kinara pa hee liya, ulajhe hain magar tufan me ham
ai jana-e-wafa phir aaj hame, pichhala woh jamana yad aaya