Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Pet Mein Roti, Tan Pe Kapda
|
Mahendra Kapoor, Chandrashekhar Gadgil | R D Burman | Dilip Kumar | |||
Mazdoor (1983) | Hasan Kamaal | Masti Bhare Geet | |||||
are aaiye aaiye aaiye
aaiye mahrban kadardan
dostan bhaijan shriman pahlwan
are humne mana ye mahnga jamana hai
tan ko to dakna hai laj to bachana hai
are dada ho dadi ho nana ho nani ho
vo ghar ka malik ho ya ghar ke rani ho
aadmi se jyada ijat hai libas ki
pucho ye setho se pucho ye leadar se
kitne ye chupte hai resham se khaddar se
are kah gaye pandit gyani dhyani ki
kapde safed ho ha bhai ha
kapde safed ho man chahe kala ho
andar andera par bahar ujjala ho
aji isliye aji isliye to kahte hai
pet me roti tan pe kapda mil jaye to kya
roti aur kapde jag me sare khel jagaye hai
roti tum sarkar se mango
kapda hum le aaye hai
roti aur kapde jag me sare khel rachaye hai
roti tum sarkar se mango
kapda hum le aaye hai
uchi uchi dukano me khota sab saman hai
apni to ye chalti firti choti si dukan hai
le lijiye patlun ka kapda ye sadi ye shaal hai
sahab is gathri ke andar har type ka maal hai
are mahangayi ke dour me
humne saste dham lagaye hai
roti tum sarkar se mango kapda hum le aaye hai
roti aur kapde jag me sare khel rachaye hai
roti tum sarkar se mango
kapda hum le aaye hai kapda hum le aaye hai
madam baiya sister mister
jo karna hai jo karna hai
kaisi dakam pel hui hai janta seva phel hui hai
injan dhua chhod raha hai
khatre ka muh tod raha hai
tikne me ab der nahi hai bago bhaiya khair nahi hai
lo sarkari gadi aayi bago baiya kair nahi hai
lo sarkari gadi aayi bago baiya ram duhai
lo sarkari gadi aayi bago baiya ram duhai
magar hum fir bhi kahte hai
roti aur kapde jag me sare khel rachaye hai
roti tum sarkar se mango
kapda hum le aaye hai kapda hum le aaye hai