Lyrics of Peena Hai To Pati Prem Piyo - पीना है तो पति प्रेम पीयो
peena hai to pati prem peeyo
kya hai gangajal peene me
pati ko jo chhod sati jiye
kya rakha hai is jeene me
kaun jaaye mathura, kaun jaaye kaashi
in tirath se hume kya kaam hai
mere ghar hi me hai bhagwaan mere
inke charno me mere charo dhaan hai
kaun jaaye mathura, kaun jaaye kaashi
jis ghar me piya ka vaas hai
vo hi mere liye kailaash hai
jab swaami hi baithe paas hai
to jhuthi swarg ki aas hai
to jhuthi swarg ki aas hai
mere tan me base jo
mere man me base
rom rom me likha inka naam hai
mere ghar hi me hai bhagwaan mere
inke charno me mere charo dhaan hai
kaun jaaye mathura, kaun jaaye kaashi
rehna to ye amar humara
jab jab janam ho sath tumhara
na tute na ho kabhi nyara
do taaro ka ye ek tara
do taaro ka ye ek tara
geet inke sunaaun
preet man me basaaun
mere saanvre salone ghanshyaan hai
mere ghar hi me hai bhagwaan mere
inke charno me mere charo dhaan hai
kaun jaaye mathura, kaun jaaye kaashi
in tirath se hume kya kaam hai
mere ghar hi me hai bhagwaan mere
inke charno me mere charo dhaan hai
kaun jaaye mathura, kaun jaaye kaashi