Lyrics of Pee Lo Aaj Pee Lo Mar Ke Zara Jee Lo - पी लो आज पी लो मर के ज़रा जी लो
pi lo aaj pi lo, pi lo aaj pi lo mar ke jara ji lo
jakham e jigar sii lo kal chale jana hai
pi lo aaj pi lo mar ke jara ji lo
jakham e jigar sii lo kal chale jana hai
pi lo aaj pi lo
hosh me na aana, hosh me na aana dunia satayegi
kal ki jo sochega nind na ayegi
kal ki jo sochega nind na ayegi
kal chale jana hai koi na tera hai
waqt lutera hai dur sawera hai
kal chale jana hai, pi lo aaj pi lo
dil ko duba dalo, dil ko duba dalo aag ke pani me
khud ko bacha rakhna hai jurm jawani me
khud ko bacha rakhna hai jurm jawani me
kal chale jana hai gark umar kar do
chhota safar kar do unko khabar kar do
kal chale jana hai, pi lo aaj pi lo
rang pe mahfil hai, rang pe mahfil hai pyar ka mausam hai
pyas bahut jyada waqt magar kam hai
pyas bahut jyada waqt magar kam hai
kal chale jana hai
rat mahakne de shola dahekne de
dil ko bahakne de kal chale jana hai
pi lo aaj pi lo mar ke jara ji lo
jakham e jigar sii lo kal chale jana hai
pi lo aaj pi lo