Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Pee Ke Ham Tum Jo Chale Aaye Hain
|
Usha Mangeshkar, Asha Bhosle | Shankar Jaikishan | ||||
Gumnaam (1965) | Hasrat Jaipuri | ||||||
pii ke ham tum jo chale aaye hain iss mehfil me

ek naya rang jama denge ham iss mehfil me

aag pili hain jab hi chehre pe nur aaya hai

saqiya teri kasam ab surur aaya hai
saqiya teri kasam ab surur aaya hai
aag se aag bujha denge ham iss mehfil me
ek naya rang jama denge ham iss mehfil me
pii ke ham tum jo chale aaye hain iss mehfil me
uljhane aur bhi badh jati hain ghabrane se

jhuk ke yeh bat kahi shishe ne paimane se

hosh duniya ke uda denge ham iss mehfil me
ek naya rang jama denge ham iss mehfil me
pii ke ham tum jo chale aaye hain iss mehfil me
tu bhi pile ise ghabra naa sanam jine se

yeh sharab achi hain insan kaa lahu pine se

deep botal ke jala denge ham iss mehfil me