Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Paschim Se Nikal Kar Suraj Bhi Purab Me Dhal Jaye
|
Mohammed Rafi | Bulo C Rani | ||||
Veer Rajputani (1955) | Gopal Singh Nepali | Patriotic Songs | |||||
pashchim se nikal kar suraj bhi
pashchim se nikal kar suraj bhi
purab me dhal jaye namumkin hai rana partap
partighya se tal jaye
pashchim se nikal kar suraj bhi
jo aazadi ke liye lada hai wo randhir kaha
jo jivan bhar zinda shahid hai wo ranbir kaha
jo khun bahaye use bhala kya tu chhal paye
namumkin hai rana partap
partighya se tal jaye
pashchim se nikal kar suraj bhi
aazadi ka jhanda jisne jivan bhar lahraya
aur mewad ke sankat ko jisne hanste mukh apnaya
jo sar na jhukana jane usko kaun kuchal paye
namumkin hai rana partap partighya se tal jaye
pashchim se nikal kar suraj bhi
janta ke man me basa hua jangle me vaas kare
jago oye jago ajgo ae sher mawadi
dharti teri aash kare dharti teri aash kare
mausam badle shashan badle sansar badal jaye
namumkin hai rana partap partighya se tal jaye
pashchim se nikal kar suraj bhi
purab me dhal jaye namumkin hai rana partap
partighya se tal jaye
pashchim se nikal kar suraj bhi