Lyrics of Parbat Dera Pyar Bhara Tha - पर्वत डेरा प्यार भरा था
parbat dera pyar bhara tha
maine thi ek dekhi doli
gajro ki mala odhe
khadi waha thi ek pari si
hur khadi thi, mahki mahki
usko mayus dekha maine
aankh se aansu tut rahe the
rone pe majbur thi shayad
lagi thes, dukhe nain
haye maa, haye meri maa
dekh ke tujhko rote hue
rone lage hai, arzo sama
daure bahara, ruth gaya hai
phulo me bubas kaha
udne lagi hai, chand ki rangat
chhane laga, taaro pe dhua
mai jara ye soch rahi thi
sab mujhe gum dete kyu hai
gum sabo ke lekar maine
dil ke dar ko khol diya tha
asulo ka khuda hai
mohabbat ka farishta
uspe kyu na ho kurban
desh hai jiske gun gata
uska naam hai nehru
aur hai wo humara neta
hasne lagi thi, aisi lagi wo arz pe
goya chaman jhume
mujhe to ye rangin sama, itna pasand hai
ke isi ka ho gaya, khud ko mai bhul ke
kalpana me kho hi gaya
kalpana me kho hi gaya
parbat dera pyar bhara tha
maine thi ek dekhi doli
gajro ki mala odhe
khadi waha thi ek pari si