Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Pandit Ji Kya Soch Rahe Ho
|
Usha Khanna, Shabbir Kumar | Usha Khanna | ||||
Ghar Aur Bazaar (1986) | Kulwant Jani | ||||||
pandit jee kya soch rahe ho
pandit jee kya soch rahe ho
soch raha hun kab devi ka darshan hoga
do naino ka tarpan hoga
kab ye bandhan paawan hoga soch raha hun
pandit jee kya soch rahe ho
pandit jee kya soch rahe ho
main aai hun paas tere to fir kya rona
main aai hun paas tere to fir kya rona
main laai hun tan ki chaandi man ka sona
o kab chaandi ka chaand banega
kab ye sona suraj dega
kab tak mera bhaagya jagega soch raha hun
pandit jee kya soch rahe ho
pandit jee kya soch rahe ho
main chaahu to saagar mein bhi aag laga dun
main chaahu to saagar mein bhi aag laga dun
behte paani par teri tasveer bana dun
aa tasveer bana de meri ab takdeer jaga de meri
man ki aag bujha de meri aa soch raha hun
pandit jee kya soch rahe ho
pandit jee kya soch rahe ho
haath mein de de haath teri takdeer bana dun
haath mein de de haath teri takdeer bana dun
swarg kise kehte hai tujhko aaj dikha dun
arey swarg mein kaise log milenge pyar mein kaise rog milenge
kisse mere sanjog milenge soch raha hun
pandit jee kya soch rahe ho
pandit jee kya soch rahe ho
ye soch raha hun kab devi ka darshan hoga
do naino ka tarpan hoga
kab ye bandhan paawan hoga
soch raha hun soch raha hun