Lyrics of Panchhi Nadiya Pawan Ke Jhonke - पंछी नदिया पवन के झोके
panchhi nadiya pawan ke jhonke, koi sarhad na inhe roke

sarhad insano ke liye hain
socho tumne aur maine kya paya insan hoke

jo hum dono panchhi hote
tairte hum is neel gagan me pankh pasare
saari dharti apni hoti, apne hote saare najare
khuli fizao me udate, khuli fizao me udate
apne dilo me hum saara pyar samaake
panchhi nadiya pawan ke jhonke, koi sarhad na inhe roke
sarhad insano ke liye hain
socho tumne aur maine kya paya insan hoke
jo main hoti nadiya aur tum pawan ke jhonke to kya hota

pawan ke jhonke nadi ke tan ko jab chhute hain

lehare hi lehare banti hain
hum dono jo milte to kuch aisa hota
sab kehte ye lehar lehar
jaha bhi jaaye inko na koi toke
panchhi nadiya pawan ke jhonke,koi sarhad na inhe roke
sarhad insano ke liye hain
socho tumne aur maine kya paya insan hoke
panchhi nadiya pawan ke jhonke, koi sarhad na inhe roke
lyrics typed by: neha gupta