Lyrics of Palakon Ko Kalam Banaa Ke, To Meraa Naam Nahin - पलको को कलम बना के, तो मेरा नाम नही
palako ko kalam banaa ke kaajal me use dubaa ke
aajaa aahaa
tere dil pe naam na likh du, to meraa naam nahi
koshish kar le tere bas kaa, ye kaam nahi
tu paagal ho jaaye to, mere sar ilzaam nahi
tere dil pe naam na likh du, to meraa naam nahi
koshish kar le tere bas kaa, ye kaam nahi
mai laal chunariyaa odhungi, mai teri zid ko todnugi
jhuthaa ilzaam lagaa dungi, badanaam tujhe kar chhod nugi
tu mere dil se kyu guzaraa, ye rastaa aam nahi
haa tere dil pe naam na likh du, to meraa naam nahi
koshish kar le tere bas kaa, ye kaam nahi
meri ungali me anguthi hai, anguthi kaa tu moti hai
kaisi bhi ho kitani bhi ho, har chiz ki kimat hoti hai
saari duniyaa ki daulat bhi, is dil kaa daam nahi
haa tere dil pe naam na likh du, to meraa naam nahi
koshish kar le tere bas kaa, ye kaam nahi
nahi dekhaa husn ye khvaabo me, ye khushbu kahaa gulaabo me
teri mastaani aankho si, ye masti kahaan sharaabo me
tu band nashe ki botal hai, par meraa jaam nahi
haa tere dil pe naam na likh du, to meraa naam nahi
koshish kar le tere bas kaa, ye kaam nahi
tu ghayal ho jaaye, to mere sar ilzaam nahi