Lyrics of Paimaane Tut Gaye - कौन हैं जिसने मय नहीं पी हैं
kaun hai jisne may nahi pee hai
kaun jhuthi kasam uthata hai
maikade se jo bach nikalta hai
teri aankhon mein dub jaata hai
jab ghir ke aayi kaali ghata
rindo ne kaha ji bhar ke peela
inkaar kiya jab saaqi ne
paimaane tut gaye, paimaane tut gaye
jab ghir ke aayi kaali ghata
rindo ne kaha ji bhar ke peela
inkaar kiya jab saaqi ne
paimaane tut gaye, paimaane tut gaye
jab aaye sharaabi masti mein
sab dub gaye yu masti mein
hungama huwa ek basti mein
hungama huwa ek basti mein
log aaye jab maikhaane tak
paimaane tut gaye, paimaane tut gaye
saaqi ki nakaab ulatte hi
kimat na rahi paimaane ki
raunak hi gayi maikhaane ki
raunak hi gayi maikhaane ki
sab peene lage jab aankhon se
paimaane tut gaye, paimaane tut gaye
saaqi ki nazar jab tang huyi
sheesho ki kismat sang huyi
yu saari faza berang huyi
yu saari faza berang huyi
maikhane mein aisi jung huyi
paimaane tut gaye, paimaane tut gaye
jab ghir ke aayi kaali ghata
rindo ne kaha ji bhar ke peela
inkaar kiya jab saaqi ne
paimaane tut gaye, paimaane tut gaye
paimaane tut gaye, paimaane tut gaye