Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Padho Quran Suno Momino Quran
|
Mohammed Aziz | Anand - Laxman | ||||
Parasmani (1992) | |||||||
padho quran suno momino quran suno
padho quran suno momino quran suno
tum pe ho jaye ga aalha mehrbaan
padho quran suno momino quran suno
padho quran suno momino quran suno
karte raho humsa kurbat kuran ki
padhkar quran dekh lo kurbat quran ki
kitna aasar hai aalha ke naam me
rahta tha ek saksh gul ke kaam me
baccha bhi ek saal ka biwi bhi ek thi
quran padhne wali thi aurat wo nek thi
wo to karti thi fida jaan suno
padho quran suno momino quran suno
shohar ne ek roj ghar me kadam rakha
mere ghar ab kuran na kholna
uska ye bolna use barbad kar gaya
bimar shaam ko hua or shubha mar gaya
biwi lipat rahi thi janaje se bar bar
baccha bhi ma ko dekh ke rota tha jar jar
ab aalha hai dono ka rehman suno
padho quran suno momino quran suno
wewha hui to sari khushiya chin gai
shohar ke maut ke din pure ho gaye
dinbhar ke kaam karke wo bistar pe so gai
shohar ki yaad me wo khawabo me kho gai
dil me utha jo dard tha laga dil ko thamne
kya dekhti khawab me shohar hai samne
dekha use to aarman si sakne lage
padho quran suno momino quran suno
aalha ki galtiyo ki saja pa raha ho me
jakhmi aag me jala ja raha ho me
tumse ye intjha hai meri jaan nibhana
bete ko mere haafiz se qurban banana
biwi ke aashuo se chader jo dhul gai
ghabrake uth baeth gai need khul gai
dard ka seen uthne laga toofan suno
padho quran suno momino quran suno
muna jab uska hone laga char saal ka
bulwa ke ek molwi se biwi ne yu kha
bacche ko mere aaj se quran padha do
lilha ise haafiz qurban bana do
bacche ko lekar baethe quran kholkar
khane lage bolo bismillha bolkar
bakshne wala khuda rehmat suno
padho quran suno momino quran suno
aasu jo dil ko bol ke mohabaat se the bhare
tutla ke chote bacche ne bismillha jab padha
pauchi thi aasman me bacche ki sada
aalha ne bulaake farishto se ye kha
do shaksh uske pass the foran use nikal do
ye mera hukum hai use jannat me daal do
kar diya uspe ye quran ayesan yaaro
padho quran suno momino quran suno