Lyrics of Om Shaanti Om - ओम शांति ओम
om shanti om shanti om
om shanti om shanti om
tere is jaha se kahan pyaar kho gaya
tere is jaha se kahan pyaar kho gaya
kal tha insaan kya, aaj kya ho gaya
tere is jaha se kahan pyaar kho gaya
dil pyaar ka hai mandir, ye mandir ghar hai tera
lau pyaar ki bujhe to sansaar ho andhera
dil pyaar ka hai mandir, ye mandir ghar hai tera
lau pyaar ki bujhe to sansaar ho andhera
ye pyar mar gaya to, insaan mar gaya
tere is jaha se kahan pyaar kho gaya
har aadmi ka dushman ab aadmi yaha hai
patthar ke log saare, patthar ka jaha hai
har aadmi ka dushman ab aadmi yaha hai
patthar ke log saare, patthar ka jaha hai
parchhaiyon se apni insaan dar gaya
tere is jaha se kahan pyaar kho gaya
duniya hai yahi duniya to fir
duniya ko aag laga de
fir khol tisri aankh apni
dharti ke paap jala de
ya dilo me insaano ke fir vo
soya pyar jaga de
haiwaaniyat ki had se insaan gujar gaya
tere is jaha se kahan pyaar kho gaya
kal tha insaan kya, aaj kya ho gaya
tere is jaha se kahan pyaar kho gaya
shanti shanti om shanti shanti om
shanti shanti om shanti
shanti shanti om shanti shanti om
shanti shanti om shanti