Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
O Krishn Kanhai Aashaon Ki Duniya Men
|
Suraiya | Sachin Dev Burman | Dev Anand, Suraiya | |||
Vidya (1948) | Anjum Pilibhiti | ||||||
o krishn kanhai o krishn kanhai
o krishn kanhai o krishn kanhai
aashao ki duniya me hai kyun aag lagai
o krishn kanhai o krishn kanhai
kya unch-nich tere yahan par bhi bhagwan
aisa nahi to kyun hai ye sansar me tufan
kya unch-nich tere yahan par bhi bhagwan
aisa nahi to kyun hai ye sansar me tufan
pine ko hai taiyar lahu bhai ka bhai
o krishn kanhai o krishn kanhai
duniya ke bhed-bhav ko bhagwan mita de
bhagwan mita de
bichade huo ko phir se ek bar mila de
ek bar mila de
gopal mere gopal mere
gopal mere qaid se de-de tu rihai
aashao ki duniya me hai kyun ag lagai
o krishn kanhai o krishn kanhai
nirdhan ko ye dhanwan samajhte nahi insan
maya ke pujari bane khud baithe hai bhagwan
insaf na karna tha to kyun duniya basai
insaf na karna tha to kyun duniya basai
o krishn kanhai krishn kanhai
aashao ki duniya me hai kyun ag lagai
o krishn kanhai o krishn kanhai