Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
O Duniya Banane Wale
|
Shamshad Begum, Mohammed Rafi | Govind Ram | ||||
Jeevan Nauka (1952) | Ramesh Gupta | ||||||
o dil me basane wale
naino se hume kyu dur kiya
naino se hume kyu dur kiya
o duniya banane wale
kyu tune hume majbur kiya
kyu tune hume majbur kiya
kadam kadam par kapat aur pal me jal bichhaye
andhkar me bhatak rahi hu rasta kaun dikhaye
mere dil ka najuk pyala takdir ne chaknachur kiya
takdir ne chaknachur kiya
o duniya banane wale kyu tune hume majbur kiya
kyu tune hume majbur kiya
jis din rani yaad me teri git birha ke gau
pankh laga de koi to pal me pas tere ud aau
mai tere milan ko tadpu kya maine aisa kasur kiya
kya maine aisa kasur kiya
o dil basane wale naino se hume kyu dur kiya
naino se hume kyu dur kiya
jab pas tumhare rahte the
dukh me bhi hume sukh milta tha
bhukhe aur pyase rah kar bhi
tan hansta tha mukh khilta tha
bhagwan khata kya meri kyu piya ko mujhse dur kiya
kyu piya ko mujhse dur kiya
o duniya banane wale
kyu tune hume majbur kiya
kyu tune hume majbur kiya
o dil basane wale naino se hume kyu dur kiya
naino se hume kyu dur kiya