Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
O Bekhabar Tujh Kya Pata
|
Mahendra Kapoor, Bhupinder Singh, G. M. Durrani | O P Nayyar | ||||
Akalmand (1966) | Aziz Kashmiri | ||||||
tum ho aur kya ho ye hum jaan gaye hai
ab samne aa jao ke pehchan gaye hai
o bekhabar tujhe kya pata
mile dil jise wo hai badshah
o bekhabar tujhe kya pata
mile dil jise wo badshah
wo jo dard duniya ka baant le
wo vaser nahi wo vaser nahi
wo to hai khuda
o bekhabar tujhe kya pata
tode jo kisi ka dil koi
kahte hai falak hil jata hai
ek parda nasi ki baat hai kya
dhunde se khuda mil jata hai
ye bedh ki baat kahe kaise
dil walo ne kya kya dekh liya
mansur chada jab suli par
duniya ne thamasha dekh liya
hai khuda ka bhi yahi faisla
hai khuda ka bhi yahi faisla
mile dil jise wo hai badshah
wo jo dard duniya ka baant le
wo vaser nahi
wo to hai khuda
o bekhabar tujhe kya pata
kuch log badalkar bhesh yaha
sansar ko dhokha dete hai
jhuthi hi tasilli de dekar
bimar ko dhokha dete hai
kuch aise bhi hai dilwale yaha
jo jaan ke dhokha khate hai
dushman ko dost samjhte hai
pehchan ke dhokha khate hai
luta dil to dil ne yahi kaha
luta dil to dil ne yahi kaha
kahte hai ke duniya se pehle
dilwalo ki tasveer bani
phir husn bana phir ishq bana
phir aashiq ki taqdeer bani
diwane hume gaafil na samajh
hum aashiq hai nadan nahi
har baat ko khub samajhte hai
hai akalmand nadan nahi
jo kisi ke gham se ho aasna
jo kisi ke gham se ho aasna
wo vaser nahi
wo to hai khuda
o bekhabar tujhe kya pata